The magic that Faiz is...
yaad ki rah guzer jis pay issi surat say
muddatain beet gaee hain tumhain chaltay chaltay
khatam ho jaye jo do chaar kadam or chalo
moR parta hai jahan dasht-e-faramoshi ka
jis say aagay na koi main hoon na koi tum ho
saance thaamay hain nigahain ke na jaanay kis dum
tum palat aao guzer jaao ya muR ker dekho
ger che waqif hain nigahain ke ye sab dhoka hai
gar kahin tum say hum aaghosh hui phir say nazar
phoot niklay gi wahan aur koi rah-guzar
phir issi tarah jahan ho ga muqabil paihem
sayaa-e-zulf ka or junbish-e-bazoo ka safar
doosri baat bhi jhooti hai ke dil janta hai
yaan koi moR koi dasht koi ghaaT nahi
jis kay perday main mera mah-e-rawaan Doob sakay
tum say chalti rahay ye rah yoonhi achaa hai
tum nay muR ker bhi na dekha to koi baat nahi

Comments