Posts

Showing posts from May, 2007

...

"Ab jo dekhain tou koi asii bari baat na thee Ye shab-o-roz o mah-o-saal ka purpaich safar Qadre asaan bhi hoe sakta tha! Ye jo har morh pe kuch uljhay huway rastay hain Inn mein tarteeb ka imkaan bhi hoe sakta tha! Ham zara dhayan se chaltay… Ab jo dekhain tou bohth saaf nazar aatay hain, Saaray manzar bhi, pas-e-manzar bhi Laikin iss der-khayali ka sila kya hoga? Ye tou sab baad ki baatain hain, meri jaan, inhay Dekhtay, sochtay rehnay se bhala kia hoga? Wo tou jo hona tha, huwa... hoe bhi chukka..." Well, I do not who the poet is!