Posts

Showing posts with the label Faiz

"Kitne aansu teray sahra'on ko gulzaar karain..."

Image
Source

One of the best sights at KU...

Image
Reminds me of Faiz's khwaab basera... courtesy: Iqbal Cyber Library

The magic that Faiz is...

yaad ki rah guzer jis pay issi surat say muddatain beet gaee hain tumhain chaltay chaltay khatam ho jaye jo do chaar kadam or chalo moR parta hai jahan dasht-e-faramoshi ka jis say aagay na koi main hoon na koi tum ho saance thaamay hain nigahain ke na jaanay kis dum tum palat aao guzer jaao ya muR ker dekho ger che waqif hain nigahain ke ye sab dhoka hai gar kahin tum say hum aaghosh hui phir say nazar phoot niklay gi wahan aur koi rah-guzar phir issi tarah jahan ho ga muqabil paihem sayaa-e-zulf ka or junbish-e-bazoo ka safar doosri baat bhi jhooti hai ke dil janta hai yaan koi moR koi dasht koi ghaaT nahi jis kay perday main mera mah-e-rawaan Doob sakay tum say chalti rahay ye rah yoonhi achaa hai tum nay muR ker bhi na dekha to koi baat nahi